nigah-e-shauq ne meri jahan dekha jidhar dekha
nigah-e-shauq ne meri jahan dekha jidhar dekha
Qazi Jalal Haripuri
MORE BYQazi Jalal Haripuri
nigāh-e-shauq ne merī jahāñ dekhā jidhar dekhā
usī ko jalva-gar har-sū ba-andāz-e-digar dekhā
marīz-e-ishq ne ghul ghul ke āḳhir jaan hī de dī
davāoñ kā asar maiñ ne tumhārī chārāgar dekhā
hujūm-e-ranj-o-ġham hirmān-o-hasrat yās-o-nākāmī
kahāñ juz is ke naḳhl-e-ishq meñ koī samar dekhā
hijāb-e-abr meñ ġhairat se sūraj ho gayā pinhāñ
tumhāre husn kī dilkash jhalak jab baam par dekhā
jabīn-e-shauq meñ sajde niyāzoñ ke taḌap uTThe
nigāh-e-justujū ne jab kisī kā sang-e-dar dekhā
ba-rang-e-kāh chāhā hāsidoñ ne piis hī Dāleñ
'jalāl'-e-be-navā ko mutma.in jab apne ghar dekhā
nigah-e-shauq ne meri jahan dekha jidhar dekha
usi ko jalwa-gar har-su ba-andaz-e-digar dekha
mariz-e-ishq ne ghul ghul ke aaKHir jaan hi de di
dawaon ka asar main ne tumhaari chaaragar dekha
hujum-e-ranj-o-gham hirman-o-hasrat yas-o-nakaami
kahan juz is ke naKHl-e-ishq mein koi samar dekha
hijab-e-abr mein ghairat se suraj ho gaya pinhan
tumhaare husn ki dilkash jhalak jab baam par dekha
jabin-e-shauq mein sajde niyazon ke taDap uTThe
nigah-e-justuju ne jab kisi ka sang-e-dar dekha
ba-rang-e-kah chaha hasidon ne pis hi Dalen
'jalal'-e-be-nawa ko mutmain jab apne ghar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.