nigah-e-shoKH jab us se laDi hai
nigāh-e-shoḳh jab us se laḌī hai
to bijlī thartharā kar gir paḌī hai
use bhī mujh ko bhī zid aa paḌī hai
ḳharābī biich vāloñ kī baḌī hai
qayāmat meñ qayāmat kar gayā kaun
ki dil thāme saf-e-mehshar khaḌī hai
kareñ kyā rind tauba mai se zāhid
ki ye to un kī ghuTTī meñ paḌī hai
qadam jamtā nahīñ terī galī meñ
kisī betāb kī mayyat gaḌī hai
adū bhī tañg hai un ke sitam se
use apnī mujhe apnī paḌī hai
abhī maiñ ne kiyā thā yaad us ko
vo aayā umr qāsid kī baḌī hai
banā hai mudda.ī paiġhām-bar bhī
jaḌī hai jab mirī khūTī jaḌī hai
kiyā hai maiñ ne zabt-e-āh jis dam
anī barchhī kī siine meñ gaḌī hai
gul-e-bistar sitāre ban ga.e haiñ
tire māthe se jab afshāñ jhaḌī hai
ye kahtā hai mirā shauq-e-shahādat
tirī talvār phūloñ kī chhaḌī hai
vo rūTheñ ġhair se to ham manā.eñ
parā.ī aafat apne sar paḌī hai
tujhe detā huuñ apnī jaan bhī maiñ
mire dil se mirī himmat baḌī hai
Taleñ vo kab jo dil lene pe aḌ jaa.eñ
ye kyā kuchh khel chausar kī aḌī hai
ilāhī kab sahar hogī shab-e-hijr
qayāmat kī ghaḌī hai jo ghaḌī hai
bigaḌ kar ham ne sau ilzām paa.e
ab un kī har tarah se ban paḌī hai
ġhazal ik aur bhī ai 'dāġh' likkho
tabī.at is zamīñ meñ kuchh laḌī hai
nigah-e-shoKH jab us se laDi hai
to bijli tharthara kar gir paDi hai
use bhi mujh ko bhi zid aa paDi hai
KHarabi bich walon ki baDi hai
qayamat mein qayamat kar gaya kaun
ki dil thame saf-e-mehshar khaDi hai
karen kya rind tauba mai se zahid
ki ye to un ki ghuTTi mein paDi hai
qadam jamta nahin teri gali mein
kisi betab ki mayyat gaDi hai
adu bhi tang hai un ke sitam se
use apni mujhe apni paDi hai
abhi main ne kiya tha yaad us ko
wo aaya umr qasid ki baDi hai
bana hai muddai paigham-bar bhi
jaDi hai jab meri khuTi jaDi hai
kiya hai main ne zabt-e-ah jis dam
ani barchhi ki sine mein gaDi hai
gul-e-bistar sitare ban gae hain
tere mathe se jab afshan jhaDi hai
ye kahta hai mera shauq-e-shahadat
teri talwar phulon ki chhaDi hai
wo ruThen ghair se to hum manaen
parai aafat apne sar paDi hai
tujhe deta hun apni jaan bhi main
mere dil se meri himmat baDi hai
Talen wo kab jo dil lene pe aD jaen
ye kya kuchh khel chausar ki aDi hai
ilahi kab sahar hogi shab-e-hijr
qayamat ki ghaDi hai jo ghaDi hai
bigaD kar hum ne sau ilzam pae
ab un ki har tarah se ban paDi hai
ghazal ek aur bhi ai 'dagh' likkho
tabiat is zamin mein kuchh laDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.