Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-yar yunhi aur chand paimane

Siraj Lakhnavi

nigah-e-yar yunhi aur chand paimane

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    nigāh-e-yār yūñhī aur chand paimāne

    ab apne hosh meñ aane na paa.eñ dīvāne

    mohabbat asl meñ kyā chiiz hai ḳhudā jaane

    dahan meñ jitnī zabāneñ haiñ utne afsāne

    jo ashk-e-surḳh hai nāma-nigār hai dil

    sukūt-e-shab meñ likhe rahe haiñ afsāne

    jahān-e-hosh meñ tā-hashr tabsire hoñge

    zabāñ meñ apnī ye kyā kah rahe the dīvāne

    shugūn us nigah-e-mai-farosh se le kar

    ham aap vaz.a kareñge hazār maiḳhāne

    na pūchho āh-e-mohabbat raḳhna-andāzī

    ḳhudā gavāh hai apne hue haiñ begāne

    har ashk-e-surḳh hai dāmān-e-shab meñ aag phuul

    baġhair sham.a ke bhī jal rahe haiñ parvāne

    qadam qadam pe sadā-e-shikast-e-tauba hai

    nisār-e-laġhzish-e-sāqī hazār paimāne

    fareb-e-husn-e-samā.at tirī duhā.ī hai

    haqīqatoñ jagah chhīnte haiñ afsāne

    buland-o-past nazar farq-e-zāhirī hai 'sirāj'

    bane to haiñ inhīñ ābādiyoñ se vīrāne

    nigah-e-yar yunhi aur chand paimane

    ab apne hosh mein aane na paen diwane

    mohabbat asl mein kya chiz hai KHuda jaane

    dahan mein jitni zabanen hain utne afsane

    jo ashk-e-surKH hai nama-nigar hai dil ka

    sukut-e-shab mein likhe ja rahe hain afsane

    jahan-e-hosh mein ta-hashr tabsire honge

    zaban mein apni ye kya kah rahe the diwane

    shugun us nigah-e-mai-farosh se le kar

    hum aap waza karenge hazar maiKHane

    na puchho aah-e-mohabbat ki raKHna-andazi

    KHuda gawah hai apne hue hain begane

    har ashk-e-surKH hai daman-e-shab mein aag ka phul

    baghair shama ke bhi jal rahe hain parwane

    qadam qadam pe sada-e-shikast-e-tauba hai

    nisar-e-laghzish-e-saqi hazar paimane

    fareb-e-husn-e-samaat teri duhai hai

    haqiqaton ki jagah chhinte hain afsane

    buland-o-past nazar farq-e-zahiri hai 'siraj'

    bane to hain inhin aabaadiyon se virane

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now