nigah tez shuur-e-buland rakhte hain
nigāh tez shu.ūr-e-buland rakhte haiñ
ham apnā ishq bahut hosh-mand rakhte haiñ
ham apne saath dil-e-dard-mañd rakhte haiñ
koī ho bazm use sar-buland rakhte haiñ
hameñ ġharaz nahīñ mun.im hai kaun hātim kaun
kulāh-e-qais sar-e-arjumand rakhte haiñ
rafīqoñ tum hī nahīñ pāsbān-e-shart-e-vafā
ki ham bhī un se irādat do-chand rakhte haiñ
nigah tez shuur-e-buland rakhte hain
hum apna ishq bahut hosh-mand rakhte hain
hum apne sath dil-e-dard-mand rakhte hain
koi ho bazm use sar-buland rakhte hain
hamein gharaz nahin munim hai kaun hatim kaun
kulah-e-qais sar-e-arjumand rakhte hain
rafiqon tum hi nahin pasban-e-shart-e-wafa
ki hum bhi un se iradat do-chand rakhte hain
- Book : Taqdeer-e-hina (Pg. 35)
- Author : Arshi Bhopali
- Publication : Hind Offset Printers, Bhopal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.