nigahen dar pe lagi hain udas baiThe hain
nigahen dar pe lagi hain udas baiThe hain
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
nigāheñ dar pe lagī haiñ udaas baiThe haiñ
kisī ke aane kī ham le ke aas baiThe haiñ
nazar uThā ke koī ham ko dekhtā bhī nahīñ
agarche bazm meñ sab rū-shanās baiThe haiñ
ilāhī kyā mirī ruḳhsat kā vaqt aa pahuñchā
ye chārasāz mire kyuuñ udaas baiThe haiñ
ilāhī kyuuñ tan-e-murda meñ jaañ nahīñ aatī
vo be-naqāb haiñ turbat ke paas baiThe haiñ
nigahen dar pe lagi hain udas baiThe hain
kisi ke aane ki hum le ke aas baiThe hain
nazar uTha ke koi hum ko dekhta bhi nahin
agarche bazm mein sab ru-shanas baiThe hain
ilahi kya meri ruKHsat ka waqt aa pahuncha
ye chaarasaz mere kyun udas baiThe hain
ilahi kyun tan-e-murda mein jaan nahin aati
wo be-naqab hain turbat ke pas baiThe hain
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 81)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.