nigahen teri be-aman aur bhi hain
nigāheñ tirī be-amāñ aur bhī haiñ
mire sabr ke imtihāñ aur bhī haiñ
na samjhe koī justujū apnī kāmil
ki us be-nishāñ ke nishāñ aur bhī haiñ
ġham-āsūdgī par na ho mutma.in dil
havādis abhī nā-gahāñ aur bhī haiñ
na ho be-takalluf tū us bad-gumāñ se
abhī us ke dil meñ gumāñ aur bhī haiñ
mirā dard 'sāhir' kisī ne na jaanā
ye maanā mire ham-zabāñ aur bhī haiñ
nigahen teri be-aman aur bhi hain
mere sabr ke imtihan aur bhi hain
na samjhe koi justuju apni kaamil
ki us be-nishan ke nishan aur bhi hain
gham-asudgi par na ho mutmain dil
hawadis abhi na-gahan aur bhi hain
na ho be-takalluf tu us bad-guman se
abhi us ke dil mein guman aur bhi hain
mera dard 'sahir' kisi ne na jaana
ye mana mere ham-zaban aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.