nigahon ke taqaze chain se marne nahin dete
nigāhoñ ke taqāze chain se marne nahīñ dete
yahāñ manzar hī aise haiñ ki dil bharne nahīñ dete
ye log auroñ ke dukh jiine nikal aa.e haiñ saḌkoñ par
agar apnā hī ġham hotā to yuuñ dharne nahīñ dete
yahī qatre jo dam apnā dikhāne par utar aate
samundar aisī man-mānī tujhe karne nahīñ dete
qalam maiñ to uThā ke jaane kab kā rakh chukā hotā
magar tum ho ke qissa muḳhtasar karne nahīñ dete
hamīñ un se umīdeñ āsmāñ chhūne kī karte haiñ
hamīñ bachchoñ ko apne faisle karne nahīñ dete
nigahon ke taqaze chain se marne nahin dete
yahan manzar hi aise hain ki dil bharne nahin dete
ye log auron ke dukh jine nikal aae hain saDkon par
agar apna hi gham hota to yun dharne nahin dete
yahi qatre jo dam apna dikhane par utar aate
samundar aisi man-mani tujhe karne nahin dete
qalam main to uTha ke jaane kab ka rakh chuka hota
magar tum ho ke qissa muKHtasar karne nahin dete
hamin un se umiden aasman chhune ki karte hain
hamin bachchon ko apne faisle karne nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.