nigahon mein KHumar aata hua mahsus hota hai
nigāhoñ meñ ḳhumār aatā huā mahsūs hotā hai
tasavvur jaam chhalkātā huā mahsūs hotā hai
ḳhirām-e-nāz aur un kā ḳhirām-e-nāz kyā kahnā
zamāna Thokareñ khātā huā mahsūs hotā hai
tasavvur ek zehnī justujū kā naam hai shāyad
dil un ko DhūñDh kar laatā huā mahsūs hotā hai
kisī kī nuqra.ī pāzeb kī jhankār ke sadqe
mujhe saarā jahāñ gaatā huā mahsūs hotā hai
'qatīl' ab dil kī dhaḌkan ban ga.ī hai chaap qadmoñ kī
koī merī taraf aatā huā mahsūs hotā hai
nigahon mein KHumar aata hua mahsus hota hai
tasawwur jam chhalkata hua mahsus hota hai
KHiram-e-naz aur un ka KHiram-e-naz kya kahna
zamana Thokaren khata hua mahsus hota hai
tasawwur ek zehni justuju ka nam hai shayad
dil un ko DhunDh kar lata hua mahsus hota hai
kisi ki nuqrai pazeb ki jhankar ke sadqe
mujhe sara jahan gata hua mahsus hota hai
'qatil' ab dil ki dhaDkan ban gai hai chap qadmon ki
koi meri taraf aata hua mahsus hota hai
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.