nigahon mein unki jo hum dekhte hain
nigāhoñ meñ un kī jo ham dekhte haiñ
bashar meñ ḳhudā.ī ko zam dekhte haiñ
miyāñ dil meñ un ke to kuchh chal rahā hai
ve ham ko jo yuuñ dam-ba-dam dekhte haiñ
unheñ ḳhuld se terī kyā lenā denā
zamīñ par jo hūr-e-iram dekhte haiñ
jise sajda karne ko dil hī na chāhe
vo kaahe ko aisā sanam dekhte haiñ
vo kahte haiñ vallah ye kyā ho gayā hai
zarā bhī jo āñkhoñ ko nam dekhte haiñ
karam hai ḳhudā kā karam hai ḳhudā kā
ki bachpan se ghar meñ alam dekhte haiñ
qazā se faqīroñ ko ho ḳhauf kaisā
azal se jo rāh-e-‘adam dekhte haiñ
tū kaahe ko milne nahīñ aatā mujh se
'raqī' tere naqsh-e-qadam dekhte haiñ
nigahon mein un ki jo hum dekhte hain
bashar mein KHudai ko zam dekhte hain
miyan dil mein un ke to kuchh chal raha hai
we hum ko jo yun dam-ba-dam dekhte hain
unhen KHuld se teri kya lena dena
zamin par jo hur-e-iram dekhte hain
jise sajda karne ko dil hi na chahe
wo kahe ko aisa sanam dekhte hain
wo kahte hain wallah ye kya ho gaya hai
zara bhi jo aankhon ko nam dekhte hain
karam hai KHuda ka karam hai KHuda ka
ki bachpan se ghar mein alam dekhte hain
qaza se faqiron ko ho KHauf kaisa
azal se jo rah-e-‘adam dekhte hain
tu kahe ko milne nahin aata mujh se
'raqi' tere naqsh-e-qadam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.