nichi nazar kushada jabin darmiyana qad
nīchī nazar kushāda jabīñ darmiyāna qad
gesū darāz shīrīñ zabāñ husn mustanad
maanā vafā ke bal pe khaḌā hai to Thiik hai
gir jā.egā par ishq kī dīvār se na lad
tab der ho chukī thī bahut kaise roktā
palTī thī jab vo rote hue chuum kar lahad
hājat to ek tīsrī cigarette kī hai magar
us kā ye hukm hai ki bas ik din meñ do adad
begāna kar de ishq ġham-e-rozgār se
bas ek diid ke liye din-bhar ke kaam radd
nichi nazar kushada jabin darmiyana qad
gesu daraaz shirin zaban husn mustanad
mana wafa ke bal pe khaDa hai to Thik hai
gir jaega par ishq ki diwar se na lad
tab der ho chuki thi bahut kaise rokta
palTi thi jab wo rote hue chum kar lahad
hajat to ek tisri cigarette ki hai magar
us ka ye hukm hai ki bas ek din mein do adad
begana kar de ishq gham-e-rozgar se
bas ek did ke liye din-bhar ke kaam radd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.