nichi nigah ki humne to usne munh ko chhupana chhoD diya
nichi nigah ki humne to usne munh ko chhupana chhoD diya
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
nīchī nigah kī ham ne to us ne muñh ko chhupānā chhoḌ diyā
kuchh jo huī phir ūñchī to ruḳh se parda uThānā chhoḌ diyā
zulf se jakḌā pahle to dil phir us kā tamāsha dekhne ko
nazroñ kā us par sehr kiyā aur kar ke divānā chhoḌ diyā
us ne uThāyā ham pe tamāñcha ham ne haTāyā muñh ko jo aah
shoḳh ne ham ko us din se phir naaz dikhānā chhoḌ diyā
baiTh ke nazdīk us ke jo ik din paañv ko ham ne chuum liyā
us ne hameñ bebāk samajh kar lutf jatānā chhoḌ diyā
phir jo ga.e ham milne ko us ke dekh ke us ne ham ko 'nazīr'
yuuñ to kahā haañ aao jī lekin paas biThānā chhoḌ diyā
nichi nigah ki hum ne to us ne munh ko chhupana chhoD diya
kuchh jo hui phir unchi to ruKH se parda uThana chhoD diya
zulf se jakDa pahle to dil phir us ka tamasha dekhne ko
nazron ka us par sehr kiya aur kar ke diwana chhoD diya
us ne uThaya hum pe tamancha hum ne haTaya munh ko jo aah
shoKH ne hum ko us din se phir naz dikhana chhoD diya
baiTh ke nazdik us ke jo ek din panw ko hum ne chum liya
us ne hamein bebak samajh kar lutf jatana chhoD diya
phir jo gae hum milne ko us ke dekh ke us ne hum ko 'nazir'
yun to kaha han aao ji lekin pas biThana chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.