nile pile siyah surKH safed sab the shamil isi tamashe mein
nile pile siyah surKH safed sab the shamil isi tamashe mein
Shamim Hanafi
MORE BYShamim Hanafi
niile piile siyāh surḳh safed sab the shāmil isī tamāshe meñ
yūrish-e-rañg ne zalīl kiyā aañkh gum ho ga.ī tamāshe meñ
koī bhī in meñ chārasāz na thā sabhī bīmār-e-justujū nikle
tum hī socho ki be-dilī kis se rāsta pūchhtī tamāshe meñ
jism kā sonā ruup kī chāñdī kaun sā dhan kisī ke paas rahā
ek merā tumhārā qissa kyā saarī duniyā luTī tamāshe meñ
chāñd thā sāhil-e-nafas ke qarīb ek din mere dil meñ Duub gayā
sub.h kā raaz rā.egāñ Thahrā shaam bhī ghul ga.ī tamāshe meñ
kabhī dariyā ke saath saath baḌhe kahīñ ThiThke kahīñ nazar na uThī
ek umr-e-ravāñ thī jī kā ziyāñ so guzartī rahī tamāshe meñ
ek sho.ala havas kā bas meñ na thā āp-apne se haath dho baiThe
ḳhaak āġhāz ḳhaak hī anjām aag aisī lagī tamāshe meñ
nile pile siyah surKH safed sab the shamil isi tamashe mein
yurish-e-rang ne zalil kiya aankh gum ho gai tamashe mein
koi bhi in mein chaarasaz na tha sabhi bimar-e-justuju nikle
tum hi socho ki be-dili kis se rasta puchhti tamashe mein
jism ka sona rup ki chandi kaun sa dhan kisi ke pas raha
ek mera tumhaara qissa kya sari duniya luTi tamashe mein
chand tha sahil-e-nafas ke qarib ek din mere dil mein Dub gaya
subh ka raaz raegan Thahra sham bhi ghul gai tamashe mein
kabhi dariya ke sath sath baDhe kahin ThiThke kahin nazar na uThi
ek umr-e-rawan thi ji ka ziyan so guzarti rahi tamashe mein
ek shoala hawas ka bas mein na tha aap-apne se hath dho baiThe
KHak aaghaz KHak hi anjam aag aisi lagi tamashe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.