nind aankhon mein jo aati to jagane lagte
niiñd āñkhoñ meñ jo aatī to jagāne lagte
ḳhvāb bachchoñ kī tarah shor machāne lagte
raat ko ghar nahīñ aatā to mire ghar vaale
sub.h ke vaqt mirī ḳhair manāne lagte
tere aa jaane se phir aa ga.ī zaḳhmoñ pe bahār
tū nahīñ aatā to sab zaḳhm purāne lagte
vo hameñ DhūñDh ke ik raat meñ ghar le aayā
ham use DhūñDne jaate to zamāne lagte
qais jañgal ko agar chhoḌ ke aa jaatā 'ra.īs'
to mire shahr ke laḌke bhī satāne lagte
nind aankhon mein jo aati to jagane lagte
KHwab bachchon ki tarah shor machane lagte
raat ko ghar nahin aata to mere ghar wale
subh ke waqt meri KHair manane lagte
tere aa jaane se phir aa gai zaKHmon pe bahaar
tu nahin aata to sab zaKHm purane lagte
wo hamein DhunDh ke ek raat mein ghar le aaya
hum use DhunDne jate to zamane lagte
qais jangal ko agar chhoD ke aa jata 'rais'
to mere shahr ke laDke bhi satane lagte
- Book : Mizgan(Raees Ahmad Ansari Number : Shumara Number-027,028) (Pg. 270)
- Author : Naushad Momin
- Publication : M. N. Kashif (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.