nind chubhne lagi hai aankhon mein
niiñd chubhne lagī hai āñkhoñ meñ
kab talak jāgnā hai rātoñ meñ
tum agar yūñhī baat karte rahe
biit jā.egā vaqt bātoñ meñ
uñgliyāñ ho ga.iiñ figār apnī
chhup gayā hai gulāb kāñToñ meñ
shāyad apnā pata bhī mil jaa.e
jhāñktā huuñ tirī nigāhoñ meñ
sab hai tere savāl meñ pinhāñ
kuchh nahīñ hai mire javāboñ meñ
jo nahīñ mil sakā haqīqat meñ
DhūñDhtā phir rahā huuñ ḳhvāboñ meñ
faisla to tumhīñ ko karnā hai
dekhte kyā ho tum gavāhoñ meñ
maslahat-kosh ho gayā 'māmūn'
ghir ke tanqīd karne vāloñ meñ
nind chubhne lagi hai aankhon mein
kab talak jagna hai raaton mein
tum agar yunhi baat karte rahe
bit jaega waqt baaton mein
ungliyan ho gain figar apni
chhup gaya hai gulab kanTon mein
shayad apna pata bhi mil jae
jhankta hun teri nigahon mein
sab hai tere sawal mein pinhan
kuchh nahin hai mere jawabon mein
jo nahin mil saka haqiqat mein
DhunDhta phir raha hun KHwabon mein
faisla to tumhin ko karna hai
dekhte kya ho tum gawahon mein
maslahat-kosh ho gaya 'mamun'
ghir ke tanqid karne walon mein
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 21)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.