nind ke daere mein hazir hun
niiñd ke dā.ere meñ hāzir huuñ
ḳhvāb ke rāste meñ hāzir huuñ
yaad hai ishq thā kabhī mujh se
maiñ usī silsile meñ hāzir huuñ
aap mujh meñ sañvarnā chāhte haiñ
lījiye aa.ine meñ hāzir huuñ
tum ḳhasāra samajh rahe ho jise
maiñ usī fā.ede meñ hāzir huuñ
merā honā nahīñ mirā honā
maiñ faqat dekhne meñ hāzir huuñ
aap manzar-kashī kareñ āġhāz
maiñ har ik hāshiye meñ hāzir huuñ
tum mujhe ḳhud jalānā chāhtī ho
Thiik hai tāqche meñ hāzir huuñ
vo mujhe dekhtā hai maazī meñ
ya.anī biite samay meñ hāzir huuñ
nind ke daere mein hazir hun
KHwab ke raste mein hazir hun
yaad hai ishq tha kabhi mujh se
main usi silsile mein hazir hun
aap mujh mein sanwarna chahte hain
lijiye aaine mein hazir hun
tum KHasara samajh rahe ho jise
main usi faede mein hazir hun
mera hona nahin mera hona
main faqat dekhne mein hazir hun
aap manzar-kashi karen aaghaz
main har ek hashiye mein hazir hun
tum mujhe KHud jalana chahti ho
Thik hai taqche mein hazir hun
wo mujhe dekhta hai mazi mein
yani bite samay mein hazir hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.