nind ko nind aae jati hai
niiñd ko niiñd aa.e jaatī hai
raat mujh ko jagā.e jaatī hai
ek laḌkī jo mar ga.ī kab kī
vo abhī tak bulā.e jaatī hai
har tarah ret hai jo sahrā kī
naam bārish batā.e jaatī hai
aa.ī to thī vo gul khilāne ko
aur kyā gul khilā.e jaatī hai
kamra andar se band kar ke vo
qaid jag ko karā.e jaatī hai
din umīdoñ ko chhīn letā hai
raat sapne dikhā.e jaatī hai
maiñ haqīqat batā.e jaatā huuñ
vo kahānī sunā.e jaatī hai
maiñ bhī ab ghar meñ kam hī jaatā huuñ
maañ bhī aadat banā.e jaatī hai
nind ko nind aae jati hai
raat mujh ko jagae jati hai
ek laDki jo mar gai kab ki
wo abhi tak bulae jati hai
har tarah ret hai jo sahra ki
nam barish batae jati hai
aai to thi wo gul khilane ko
aur kya gul khilae jati hai
kamra andar se band kar ke wo
qaid jag ko karae jati hai
din umidon ko chhin leta hai
raat sapne dikhae jati hai
main haqiqat batae jata hun
wo kahani sunae jati hai
main bhi ab ghar mein kam hi jata hun
man bhi aadat banae jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.