nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya
nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
niiñd mastoñ ko kahāñ aur kidhar kā takiya
ḳhisht-e-ḳhum-ḳhāna hai yaañ apne to sar kā takiya
laḳht-e-dil aa ke musāfir se Thaharte haiñ yahāñ
chashm hai ham se gadāoñ kī guzar kā takiya
jis taraf aañkh uThā dekhiye ho jaa.e asar
ham to rakhte haiñ faqat apnī nazar kā takiya
chain hargiz nahīñ maḳhmal ke use takiye par
us parī ke liye ho huur ke par kā takiya
haath apne ke sivā aur to kyā ho haihāt
vālih o dar-ba-dar o ḳhāk-basar kā takiya
sar to chāhe hai mirā hove mayassar tere
haath kā baazū kā zaanū kā kamar kā takiya
ye to hāsil hai kahāñ bhej de lekin mujh ko
jis meñ bāloñ kī ho bū tere ho sar kā takiya
tīkhe-pan ke tire qurbān akaḌ ke sadqe
kyā hī baiThā hai lagā kar ke sipar kā takiya
garche ham saḳht gunahgār haiñ lekin vallāh
dil meñ jo Dar hai hameñ hai usī Dar kā takiya
girya o āh-o-fuġhāñ naala o yā rab fariyād
sab ko hai har shab-o-roz apne asar kā takiya
rind o āzād hue chhoḌ ilāqa sab kā
DhūñDhte kab haiñ pidar aur pisar kā takiya
gar bharosā hai hameñ ab to bharosā terā
aur takiya hai agar tere hī dar kā takiya
shauq se soiye sar rakh ke mire zaanū par
us ko mat samajhiye kuchh ḳhauf-o-ḳhatar kā takiya
jab talak aap na jāgeñge rahegā yuuñ hī
sarkegā tab hī ki jab kahiyegā sarkā takiya
lutf-e-īzadī hī se ummīd hai inshā-allāh
kuchh nahīñ rakhte haiñ ham fazl o hunar kā takiya
nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya
KHisht-e-KHum-KHana hai yan apne to sar ka takiya
laKHt-e-dil aa ke musafir se Thaharte hain yahan
chashm hai hum se gadaon ki guzar ka takiya
jis taraf aankh uTha dekhiye ho jae asar
hum to rakhte hain faqat apni nazar ka takiya
chain hargiz nahin maKHmal ke use takiye par
us pari ke liye ho hur ke par ka takiya
hath apne ke siwa aur to kya ho haihat
walih o dar-ba-dar o KHak-basar ka takiya
sar to chahe hai mera howe mayassar tere
hath ka bazu ka zanu ka kamar ka takiya
ye to hasil hai kahan bhej de lekin mujh ko
jis mein baalon ki ho bu tere ho sar ka takiya
tikhe-pan ke tere qurban akaD ke sadqe
kya hi baiTha hai laga kar ke sipar ka takiya
garche hum saKHt gunahgar hain lekin wallah
dil mein jo Dar hai hamein hai usi Dar ka takiya
girya o aah-o-fughan nala o ya rab fariyaad
sab ko hai har shab-o-roz apne asar ka takiya
rind o aazad hue chhoD ilaqa sab ka
DhunDhte kab hain pidar aur pisar ka takiya
gar bharosa hai hamein ab to bharosa tera
aur takiya hai agar tere hi dar ka takiya
shauq se soiye sar rakh ke mere zanu par
us ko mat samajhiye kuchh KHauf-o-KHatar ka takiya
jab talak aap na jagenge rahega yun hi
sarkega tab hi ki jab kahiyega sarka takiya
lutf-e-izadi hi se ummid hai insha-allah
kuchh nahin rakhte hain hum fazl o hunar ka takiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.