nind mein hai zamin aasman so gaya
niiñd meñ hai zamīñ āsmāñ so gayā
aa bhī jaao ki saarā jahāñ so gayā
aao ḳhalvat-sarā-e-haram chhoḌ kar
bām-o-dar so ga.e pāsbāñ so gayā
sub.h-dam naqsh-e-pā un ke dhuñdlā ga.e
chāñd bar-jāda-e-kahkashāñ so gayā
baal bikhre hue chehra utrā huā
shab kī āġhosh meñ gulsitāñ so gayā
ġham kī lau tez hañgāma-e-shauq kam
aag sulgā dī aur kārvāñ so gayā
zulf-o-ruḳh kyā kaheñ din kahīñ raat hai
ik jahāñ jaag uThā ik jahāñ so gayā
'mānī' sham-e-harīm-e-ġhazal bujh ga.ī
vo 'jigar' shā.ir-e-ḳhush-bayāñ so gayā
nind mein hai zamin aasman so gaya
aa bhi jao ki sara jahan so gaya
aao KHalwat-sara-e-haram chhoD kar
baam-o-dar so gae pasban so gaya
subh-dam naqsh-e-pa un ke dhundla gae
chand bar-jada-e-kahkashan so gaya
baal bikhre hue chehra utra hua
shab ki aaghosh mein gulsitan so gaya
gham ki lau tez hangama-e-shauq kam
aag sulga di aur karwan so gaya
zulf-o-ruKH kya kahen din kahin raat hai
ek jahan jag uTha ek jahan so gaya
'mani' sham-e-harim-e-ghazal bujh gai
wo 'jigar' shair-e-KHush-bayan so gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.