niiñd nagrī meñ phir ujālā hai
ḳhvāb-mehmān aane vaalā hai
din pe chhīñTeñ paḌī haiñ ḳhvāboñ kī
kitnā kam-zarf shab-piyāla hai
bas mohabbat meñ laḌkhaḌā.e haiñ
aur sab Thiik se sañbhālā hai
ham ko bas ek kaam thā marnā
vo bhī ham ne ḳhudā pe Taalā hai
mujh meñ bilkul nahīñ bachā huuñ maiñ
ishq ne is tarah khañgālā hai
nind nagri mein phir ujala hai
KHwab-mehman aane wala hai
din pe chhinTen paDi hain KHwabon ki
kitna kam-zarf shab-piyala hai
bas mohabbat mein laDkhaDae hain
aur sab Thik se sanbhaala hai
hum ko bas ek kaam tha marna
wo bhi hum ne KHuda pe Tala hai
mujh mein bilkul nahin bacha hun main
ishq ne is tarah khangala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.