nind zara si jab bhi aane lagti hai
niiñd zarā sī jab bhī aane lagtī hai
yaad tumhārī shor machāne lagtī hai
saath milāte haiñ āvāz parinde bhī
havā mujhe jab giit sunāne lagtī hai
dekh ke khiḌkī se bārish ko pāgal laḌkī
aaj bhī do cup chaa.e banāne lagtī hai
saañp mujhe ab aksar uupar kheñchtā hai
sīḌhī jab bhī mujhe girāne lagtī hai
kamre meñ zanjīr se jakḌī tanhā.ī
Daa.in ban ke mujh ko khāne lagtī hai
pichhle chehroñ ko dafnā ke miTTī meñ
aañkh nayā ik aks ugāne lagtī hai
kachche pakke aam saham se jaate haiñ
jab bhī chiḌiyā shāḳh hilāne lagtī hai
us kī aañkh meñ āñkheñ Daal ke dekhnā tum
duniyā kaise aañkh churāne lagtī hai
haath meñ le kar sūraj kā nāranjī album
shaam vo photo kise dikhāne lagtī hai
darvāze pe aan ruke bārātī tab
dulhan ik tasvīr jalāne lagtī hai
mujh ko paas biThā ke maañ kī ḳhāmoshī
saare dil ke raaz batāne lagtī hai
mere āñchal pe sat-rañgī kirnoñ se
raushnī koī phuul banāne lagtī hai
nind zara si jab bhi aane lagti hai
yaad tumhaari shor machane lagti hai
sath milate hain aawaz parinde bhi
hawa mujhe jab git sunane lagti hai
dekh ke khiDki se barish ko pagal laDki
aaj bhi do cup chae banane lagti hai
sanp mujhe ab aksar upar khenchta hai
siDhi jab bhi mujhe girane lagti hai
kamre mein zanjir se jakDi tanhai
Dain ban ke mujh ko khane lagti hai
pichhle chehron ko dafna ke miTTi mein
aankh naya ek aks ugane lagti hai
kachche pakke aam saham se jate hain
jab bhi chiDiya shaKH hilane lagti hai
us ki aankh mein aankhen Dal ke dekhna tum
duniya kaise aankh churane lagti hai
hath mein le kar suraj ka naranji album
sham wo photo kise dikhane lagti hai
darwaze pe aan ruke baraati tab
dulhan ek taswir jalane lagti hai
mujh ko pas biTha ke man ki KHamoshi
sare dil ke raaz batane lagti hai
mere aanchal pe sat-rangi kirnon se
raushni koi phul banane lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.