nindon ka bojh palkon pe Dhona paDa mujhe
nīñdoñ kā bojh palkoñ pe Dhonā paḌā mujhe
āñkhoñ ke iltimās pe sonā paḌā mujhe
tā-umr apne kāñdhoñ pe be-gor be-kafan
apnī anā kī laash ko Dhonā paḌā mujhe
kam-zarf nā-ḳhudāoñ ke ehsāñ se bach gayā
hālāñ ki kashtiyoñ ko Dubonā paḌā mujhe
vo merī bebasī pe kuchh itnā hañsā 'navāz'
hañsne ke ehtirām meñ ronā paḌā mujhe
nindon ka bojh palkon pe Dhona paDa mujhe
aankhon ke iltimas pe sona paDa mujhe
ta-umr apne kandhon pe be-gor be-kafan
apni ana ki lash ko Dhona paDa mujhe
kam-zarf na-KHudaon ke ehsan se bach gaya
haalan ki kashtiyon ko Dubona paDa mujhe
wo meri bebasi pe kuchh itna hansa 'nawaz'
hansne ke ehtiram mein rona paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.