Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nist be-yar mujhko hasti hai

Rind Lakhnavi

nist be-yar mujhko hasti hai

Rind Lakhnavi

MORE BYRind Lakhnavi

    niist be-yār mujh ko hastī hai

    shahr-e-vīrāñ ujaaḌ bastī hai

    hai jahāñ par mirā qadam bhārī

    har qadam par zamīn dhañstī hai

    vo parī saath le ke sotā huuñ

    huur jis palañg kastī hai

    hai haqīqat majāz se matlūb

    but-parastī ḳhudā-parastī hai

    us ke kushte haiñ zinda-e-jāved

    nīstī un ain hastī hai

    ek but ne diyā na ham ko javāb

    be-zabānoñ hind bastī hai

    ḳhāksāroñ hai yahī me.arāj

    sar-bulandī hamārī pastī hai

    hai ka.ī din se ghaat meñ sayyād

    andalīb āj-kal meñ phañstī hai

    is muraqqa.a dekh tasvīreñ

    koī rotī hai koī hañstī hai

    manzil-e-ishq hai rah hamvār

    na bulandī hai yaañ na pastī hai

    husn dikhlā rahā hai qudrat-e-haq

    but ko bhī zauq-e-ḳhud-parastī hai

    jaañ bhī de kar mile to muft samajh

    har tarah jins-e-husn sastī hai

    zulf us siyāh nāgin hai

    maar rakhtī hai jis ko Dastī hai

    khuleñgī āñkheñ nashsha utregā

    husn tak uuprī ye mastī hai

    aise jiine pe 'rind' ḳhaak paḌe

    maut us zindagī pe hañstī hai

    nist be-yar mujh ko hasti hai

    shahr-e-viran ujaD basti hai

    hai jahan par mera qadam bhaari

    har qadam par zamin dhansti hai

    wo pari sath le ke sota hun

    hur jis ka palang kasti hai

    hai haqiqat majaz se matlub

    but-parasti KHuda-parasti hai

    us ke kushte hain zinda-e-jawed

    nisti un ki ain hasti hai

    ek but ne diya na hum ko jawab

    be-zabanon ki hind basti hai

    KHaksaron ki hai yahi mearaj

    sar-bulandi hamari pasti hai

    hai kai din se ghat mein sayyaad

    andalib aaj-kal mein phansti hai

    is muraqqa ki dekh taswiren

    koi roti hai koi hansti hai

    manzil-e-ishq ki hai rah hamwar

    na bulandi hai yan na pasti hai

    husn dikhla raha hai qudrat-e-haq

    but ko bhi zauq-e-KHud-parasti hai

    jaan bhi de kar mile to muft samajh

    har tarah jins-e-husn sasti hai

    zulf us ki siyah nagin hai

    mar rakhti hai jis ko Dasti hai

    khulengi aankhen nashsha utrega

    husn tak upri ye masti hai

    aise jine pe 'rind' KHak paDe

    maut us zindagi pe hansti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now