Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikal gulab ki muTThi se aur KHushbu ban

Jawayd Anwar

nikal gulab ki muTThi se aur KHushbu ban

Jawayd Anwar

MORE BYJawayd Anwar

    nikal gulāb muTThī se aur ḳhushbū ban

    maiñ bhāgtā huuñ tire pīchhe aur jugnū ban

    mere dard ḳhāmosh hichkiyoñ meñ aa

    mere zaḳhm tanhā.iyoñ aañsū ban

    maiñ jhiil bantā huuñ shaffāf pāniyoñ se bharī

    dauḌ dauḌ thakā be-qarār aahū ban

    merī raat tārīkiyoñ ko gāḌhā kar

    mire makān tanhā charāġh bhī ban

    phir us ke baad sabhī vus.ateñ hamārī haiñ

    maiñ aañkh bantā huuñ 'jāved' aur baazū ban

    nikal gulab ki muTThi se aur KHushbu ban

    main bhagta hun tere pichhe aur tu jugnu ban

    tu mere dard ki KHamosh hichkiyon mein aa

    tu mere zaKHm ki tanhaiyon ka aansu ban

    main jhil banta hun shaffaf paniyon se bhari

    tu dauD dauD thaka be-qarar aahu ban

    tu meri raat ki tarikiyon ko gaDha kar

    mere makan ka tanha charagh bhi tu ban

    phir us ke baad sabhi wusaten hamari hain

    main aankh banta hun 'jawed' aur tu bazu ban

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nikal gulab ki muTThi se aur KHushbu ban Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now