nikal paun main kaise is asar se
nikal pā.ūñ maiñ kaise is asar se
mahakte phuul jhaḌte haiñ nazar se
mohabbat ke safar ke baad ḳhalvat
safar āsān hai pichhle safar se
ga.e the un se tark-e-ishq karne
nazar haT hī na paa.ī is nazar se
dupaTTe se vo muñh Dhāñke hue haiñ
mohabbat ho ga.ī piile color se
ḳhud apne dil se Dar lagne lagā hai
koī āvāz aatī hai idhar se
nikal paun main kaise is asar se
mahakte phul jhaDte hain nazar se
mohabbat ke safar ke baad KHalwat
safar aasan hai pichhle safar se
gae the un se tark-e-ishq karne
nazar haT hi na pai is nazar se
dupaTTe se wo munh Dhanke hue hain
mohabbat ho gai pile color se
KHud apne dil se Dar lagne laga hai
koi aawaz aati hai idhar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.