nikal paDa hun main bekar rah-e-ulfat mein
nikal paḌā huuñ maiñ bekār rāh-e-ulfat meñ
mujhe pukārte haiñ ḳhaar rāh-e-ulfat meñ
vo luuT hī to rahā hai hameñ mohabbat se
koī nahīñ hai vafādār rāh-e-ulfat meñ
jahān-bhar ko faqat jism se mohabbat hai
sabhī yahāñ haiñ gunahgār rāh-e-ulfat meñ
kabhī kiyā hī nahīñ pyaar maiñ ne phir kaise
karūñ qubūl abhī haar rāh-e-ulfat meñ
kabhī kabhī mirī āñkhoñ meñ pyaar aatā hai
maiñ is qadar huuñ adākār rāh-e-ulfat meñ
mirā sukūn mirā chain tab se khoyā hai
huā huuñ jab se giraftār rāh-e-ulfat meñ
nikal paDa hun main bekar rah-e-ulfat mein
mujhe pukarte hain KHar rah-e-ulfat mein
wo luT hi to raha hai hamein mohabbat se
koi nahin hai wafadar rah-e-ulfat mein
jahan-bhar ko faqat jism se mohabbat hai
sabhi yahan hain gunahgar rah-e-ulfat mein
kabhi kiya hi nahin pyar main ne phir kaise
karun qubul abhi haar rah-e-ulfat mein
kabhi kabhi meri aankhon mein pyar aata hai
main is qadar hun adakar rah-e-ulfat mein
mera sukun mera chain tab se khoya hai
hua hun jab se giraftar rah-e-ulfat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.