nikalna KHud se mumkin hai na mumkin wapsi meri
nikalna KHud se mumkin hai na mumkin wapsi meri
Aziz Bano Darab Wafa
MORE BYAziz Bano Darab Wafa
nikalnā ḳhud se mumkin hai na mumkin vāpsī merī
mujhe ghere hue hai har taraf se be-ruḳhī merī
bujhā ke rakh gayā hai kaun mujh ko tāq-e-nisyāñ par
mujhe andar se phūñke de rahī hai raushnī merī
maiñ ḳhvāboñ ke mahal kī chhat se gir ke ḳhud-kushī kar luuñ
haqīqat se agar mumkin nahīñ hai dostī merī
maiñ apne jism ke murda ajā.ib-ghar kī zīnat huuñ
mujhe dīmak kī sūrat chāTtī hai zindagī merī
nikalna KHud se mumkin hai na mumkin wapsi meri
mujhe ghere hue hai har taraf se be-ruKHi meri
bujha ke rakh gaya hai kaun mujh ko taq-e-nisyan par
mujhe andar se phunke de rahi hai raushni meri
main KHwabon ke mahal ki chhat se gir ke KHud-kushi kar lun
haqiqat se agar mumkin nahin hai dosti meri
main apne jism ke murda ajaib-ghar ki zinat hun
mujhe dimak ki surat chaTti hai zindagi meri
- Book : Goonj (Pg. 64)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.