nikhar saka na badan chandni mein sone se
nikhar sakā na badan chāñdnī meñ sone se
sahar huī to ḳharāsheñ chunīñ bichhaune se
sadaf liye hue ubhrī hai laash bhī merī
bachā rahe the mujhe log ġharq hone se
hunar hai tujh meñ to qaa.il bhī kar zamāne ko
chamak uThegī na shakl aa.ine ko dhone se
lipaT rahī haiñ mire rāstoñ se raushaniyāñ
nazar meñ log haiñ kuchh sāñvle salone se
lagā ke zaḳhm bahāne chalā hai ab aañsū
rukā hai ḳhuun kahīñ paTTiyāñ bhigone se
hamīñ na hoñ kahīñ dekho to ġhaur se logo
haiñ tifl-e-vaqt ke hāthoñ meñ kuchh khilaune se
mire dukhoñ se bhī kuchh fā.eda uThā duniyā
zamīñ kī pyaas bujhe bādaloñ ke rone se
lahū ragoñ meñ 'muzaffar' chhuḌā.e mahtābī
mile hai kyā use chingāriyāñ chubhone se
nikhar saka na badan chandni mein sone se
sahar hui to KHarashen chunin bichhaune se
sadaf liye hue ubhri hai lash bhi meri
bacha rahe the mujhe log gharq hone se
hunar hai tujh mein to qail bhi kar zamane ko
chamak uThegi na shakl aaine ko dhone se
lipaT rahi hain mere raston se raushaniyan
nazar mein log hain kuchh sanwle salone se
laga ke zaKHm bahane chala hai ab aansu
ruka hai KHun kahin paTTiyan bhigone se
hamin na hon kahin dekho to ghaur se logo
hain tifl-e-waqt ke hathon mein kuchh khilaune se
mere dukhon se bhi kuchh faeda uTha duniya
zamin ki pyas bujhe baadalon ke rone se
lahu ragon mein 'muzaffar' chhuDae mahtabi
mile hai kya use chingariyan chubhone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.