nikhat-e-gul se bu-e-yar aae
nik.hat-e-gul se bū-e-yār aa.e
ab ke yuuñ fasl-e-nau-bahār aa.e
ham ko miltā bhī kyā ki ḳhud ham hī
le ke dāmān tār-tār aa.e
ham ḳhatāoñ kā kar chuke iqrār
ab ye kyoñ aap sharmsār aa.e
aa.e dīvāna-vār bād-e-sabā
hosh uḌātī huī bahār aa.e
ahl-e-vahshat kī bazm meñ 'kāzim'
ban ke dīvāne hoshiyār aa.e
nikhat-e-gul se bu-e-yar aae
ab ke yun fasl-e-nau-bahaar aae
hum ko milta bhi kya ki KHud hum hi
le ke daman tar-tar aae
hum KHataon ka kar chuke iqrar
ab ye kyon aap sharmsar aae
aae diwana-war baad-e-saba
hosh uDati hui bahaar aae
ahl-e-wahshat ki bazm mein 'kazim'
ban ke diwane hoshiyar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.