nikli jo ruh ho gae ajza-e-tan KHarab
niklī jo ruuh ho ga.e ajzā-e-tan ḳharāb
ik sham' bujh ga.ī to huī anjuman ḳharāb
kyuuñ Dāltā hai ḳhaak ki hogā kafan ḳharāb
maiñ huuñ safed-posh na kar pairahan ḳharāb
jī meñ ye hai ki dil hī ko sajde kyā karūñ
dair-o-haram meñ log haiñ ai jān-e-man ḳharāb
nāzuk diloñ kā husn hai rañg-e-shikastagī
phaTne se kab guloñ kā huā pairahan ḳharāb
duniyā ne muñh pe Daalā hai parda sarāb kā
hote haiñ dauḌ dauḌ ke tishna-dahan ḳharāb
iblīs se ye kahtā hai lā'nat kā tauq roz
aadam ḳharāb yā sifat mā-o-man ḳharāb
kyā ḳhushnumā ho ḳhizr baḌhe gar libās-e-umr
qad se jo ho darāz to ho pairahan ḳharāb
merā salām-e-ishq alaihis-salām ko
ḳhusrav idhar ḳharāb udhar kohkan ḳharāb
yūsuf ke husn ne ye zuleḳhā ko dī sadā
lo uñgliyāñ kaTīñ vo hue ta.ana-zan ḳharāb
gar bas chale to aap phirūñ apne gird meñ
kā'be ko jā ke kaun ho ai jān-e-man ḳharāb
zaḳhmī huā hai naam ko dar-parda husn bhī
yūsuf kā ḳhūn-e-gurg se hai pairahan ḳharāb
va.ada kiyā hai ġhair se aur vo bhī vasl kā
kullī karo huzūr huā hai dahan ḳharāb
ai ḳhāk-e-gor dekh na dhabbā lage kahīñ
rakh duuñ abhī utaar ke gar ho kafan ḳharāb
kaisī bhī ho zamīn 'ajab hal hai tab-e-tez
'mā.il' jo bo.eñ ham na ho tuḳhm-e-suḳhan ḳharāb
nikli jo ruh ho gae ajza-e-tan KHarab
ek sham' bujh gai to hui anjuman KHarab
kyun Dalta hai KHak ki hoga kafan KHarab
main hun safed-posh na kar pairahan KHarab
ji mein ye hai ki dil hi ko sajde kya karun
dair-o-haram mein log hain ai jaan-e-man KHarab
nazuk dilon ka husn hai rang-e-shikastagi
phaTne se kab gulon ka hua pairahan KHarab
duniya ne munh pe Dala hai parda sarab ka
hote hain dauD dauD ke tishna-dahan KHarab
iblis se ye kahta hai la'nat ka tauq roz
aadam KHarab ya sifat ma-o-man KHarab
kya KHushnuma ho KHizr baDhe gar libas-e-umr
qad se jo ho daraaz to ho pairahan KHarab
mera salam-e-ishq alaihis-salam ko
KHusraw idhar KHarab udhar kohkan KHarab
yusuf ke husn ne ye zuleKHa ko di sada
lo ungliyan kaTin wo hue tana-zan KHarab
gar bas chale to aap phirun apne gird mein
ka'be ko ja ke kaun ho ai jaan-e-man KHarab
zaKHmi hua hai nam ko dar-parda husn bhi
yusuf ka KHun-e-gurg se hai pairahan KHarab
wada kiya hai ghair se aur wo bhi wasl ka
kulli karo huzur hua hai dahan KHarab
ai KHak-e-gor dekh na dhabba lage kahin
rakh dun abhi utar ke gar ho kafan KHarab
kaisi bhi ho zamin 'ajab hal hai tab-e-tez
'mail' jo boen hum na ho tuKHm-e-suKHan KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.