nirale rang mein fasl-e-bahaaran aai hai yaro
nirale rang mein fasl-e-bahaaran aai hai yaro
Mubashshir Ali Zaidi
MORE BYMubashshir Ali Zaidi
nirāle rañg meñ fasl-e-bahārāñ aa.ī hai yaaro
khile haiñ phuul bhī is baar lekin dil nahīñ lagtā
kabhī is se mohabbat kī kabhī us se shikāyat kī
ka.ī chheḌe haiñ kārobār lekin dil nahīñ lagtā
mire ghar meñ hai vīrānī vahāñ tanhā.ī Dastī hai
yahāñ baiThe haiñ saare yaar lekin dil nahīñ lagtā
idhar baiThe haiñ saare yaar lekin dil nahīñ aatā
tumhārī bazm hai sarkār lekin dil nahīñ lagtā
koī ye kah rahā thā kal 'mubashshir' sher kahtā hai
sune us ke bhī kuchh ash.ār lekin dil nahīñ lagtā
nirale rang mein fasl-e-bahaaran aai hai yaro
khile hain phul bhi is bar lekin dil nahin lagta
kabhi is se mohabbat ki kabhi us se shikayat ki
kai chheDe hain karobar lekin dil nahin lagta
mere ghar mein hai virani wahan tanhai Dasti hai
yahan baiThe hain sare yar lekin dil nahin lagta
idhar baiThe hain sare yar lekin dil nahin aata
tumhaari bazm hai sarkar lekin dil nahin lagta
koi ye kah raha tha kal 'mubashshir' sher kahta hai
sune us ke bhi kuchh ashaar lekin dil nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.