nisar yun to hua tujh pe naqd-e-jaan kya kya
nisār yuuñ to huā tujh pe naqd-e-jāñ kyā kyā
magar rahā bhī tirā husn sargirāñ kyā kyā
alag alag bhī bahut dil-fareb niklegī
kaheñge log abhī terī dāstāñ kyā kyā
hisāb-e-mai hai harīfān-e-bāda-paimā se
uThegā ab ke rag-e-tāk se dhuāñ kyā kyā
nafs kī rau meñ koī pech-o-tāb dariyā thā
gayā hai vādī-e-jāñ se ravāñ-davāñ kyā kyā
vafā kī raat koī ittifāq thī lekin
pukārte haiñ musāfir ko sā.ebāñ kyā kyā
hazār sham.eñ jalā.e hue khaḌī hai ḳhirad
magar fazā meñ añdherā hai darmiyāñ kyā kyā
nisar yun to hua tujh pe naqd-e-jaan kya kya
magar raha bhi tera husn sargiran kya kya
alag alag bhi bahut dil-fareb niklegi
kahenge log abhi teri dastan kya kya
hisab-e-mai hai harifan-e-baada-paima se
uThega ab ke rag-e-tak se dhuan kya kya
nafs ki rau mein koi pech-o-tab dariya tha
gaya hai wadi-e-jaan se rawan-dawan kya kya
wafa ki raat koi ittifaq thi lekin
pukarte hain musafir ko saeban kya kya
hazar shamen jalae hue khaDi hai KHirad
magar faza mein andhera hai darmiyan kya kya
- Book : Kulliyat-e-Aziz Hamid Madni (Pg. 372)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.