nisbat rahe tum se sada hazrat nizamuddin-ji
nisbat rahe tum se sadā hazrat nizāmuddīn-jī
māñgūñ maiñ kyā is ke sivā hazrat nizāmuddīn-jī
āñkhoñ pe yuuñ chhā.e ho tum har jā nazar aa.e ho tum
kaisā junūñ mujh ko huā hazrat nizāmuddīn-jī
hāthoñ se tum ne jo kiyā raushan vafā kā ik diyā
āñdhī kī zad meñ vo jalā hazrat nizāmuddīn-jī
lete the allāh naam jo japte the dil meñ raam jo
tum ne kiyā sab kā bhalā hazrat nizāmuddīn-jī
'ḳhusrav' kī āñkhoñ se kabhī dekhe agar tum ko koī
ahvāl hogā us kā kyā hazrat nizāmuddīn-jī
nisbat rahe tum se sada hazrat nizamuddin-ji
mangun main kya is ke siwa hazrat nizamuddin-ji
aankhon pe yun chhae ho tum har ja nazar aae ho tum
kaisa junun mujh ko hua hazrat nizamuddin-ji
hathon se tum ne jo kiya raushan wafa ka ek diya
aandhi ki zad mein wo jala hazrat nizamuddin-ji
lete the allah nam jo japte the dil mein ram jo
tum ne kiya sab ka bhala hazrat nizamuddin-ji
'KHusraw' ki aankhon se kabhi dekhe agar tum ko koi
ahwal hoga us ka kya hazrat nizamuddin-ji
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 605)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.