nisf se dekh zara kam na ziyaada aadha
nisf se dekh zarā kam na ziyāda aadhā
baañT lete haiñ mohabbat tujhe aadhā aadhā
mehrbāñ ishq mujhe kaaT diyā jā.egā
hone vaalā hai mirā dast-e-kushāda aadhā
chauk meñ dekhne vaale the tamāsha us kā
jis ko ġhurbat meñ mayassar thā labāda aadhā
mere behis maiñ tujhe milne nahīñ ā.ūñgī
aaj taqsīm huā merā irāda aadhā
kūza-gar mujh ko bikharnā hai bikhar jaane de
merī tajsīm meñ shāmil hai burāda aadhā
terī duniyā bhī mirī tarah ujaḌ jā.egī
rah gayā mujh meñ agar sabr kā mādda aadhā
baaqī aadhī to kisī aur kī muTThī meñ dabī
pusht par maiñ ne tujhe ziist hai laadā aadhā
nisf se dekh zara kam na ziyaada aadha
banT lete hain mohabbat tujhe aadha aadha
mehrban ishq mujhe kaT diya jaega
hone wala hai mera dast-e-kushada aadha
chauk mein dekhne wale the tamasha us ka
jis ko ghurbat mein mayassar tha labaada aadha
mere behis main tujhe milne nahin aaungi
aaj taqsim hua mera irada aadha
kuza-gar mujh ko bikharna hai bikhar jaane de
meri tajsim mein shamil hai burada aadha
teri duniya bhi meri tarah ujaD jaegi
rah gaya mujh mein agar sabr ka madda aadha
baqi aadhi to kisi aur ki muTThi mein dabi
pusht par main ne tujhe zist hai lada aadha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.