nishan apna miTata ja raha hun
nishān apnā miTātā jā rahā huuñ
tire nazdīk aatā jā rahā huuñ
maiñ apne zauq-e-ulfat ke tasadduq
sitam par muskurātā jā rahā huuñ
musalsal baj rahā hai barbat-e-jaur
vafā ke giit gaatā jā rahā huuñ
fasāna naza.a meñ nākāmiyoñ kā
nigāhoñ se sunātā jā rahā huuñ
mohabbat hotī jaatī hai mukammal
musībat meñ samātā jā rahā huuñ
mazāq-e-justujū hai apnā apnā
unheñ gum ho ke paatā jā rahā huuñ
yahāñ to hairateñ hī hairateñ haiñ
ye kis mahfil meñ aatā jā rahā huuñ
mirī aahoñ ke haiñ duniyā meñ charche
jahāñ par 'abr' chhātā jā rahā huuñ
nishan apna miTata ja raha hun
tere nazdik aata ja raha hun
main apne zauq-e-ulfat ke tasadduq
sitam par muskuraata ja raha hun
musalsal baj raha hai barbat-e-jaur
wafa ke git gata ja raha hun
fasana naza mein nakaamiyon ka
nigahon se sunata ja raha hun
mohabbat hoti jati hai mukammal
musibat mein samata ja raha hun
mazaq-e-justuju hai apna apna
unhen gum ho ke pata ja raha hun
yahan to hairaten hi hairaten hain
ye kis mahfil mein aata ja raha hun
meri aahon ke hain duniya mein charche
jahan par 'abr' chhata ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.