nishan qadam ka sar-e-rah-guzar na tha koi
nishāñ qadam kā sar-e-rah-guzar na thā koī
udhar kā ruḳh kiyā ham ne jidhar na thā koī
safar sulagte hue mausamoñ kā thā dar-pesh
dahaktī dhuup thī sar par shajar na thā koī
thī chīḳh sī koī gūñjī fazā meñ āḳhirī baar
jumūd-e-sang meñ phir shor-o-shar na thā koī
ajiib silsila ik dastakoñ kā thā shab-bhar
kivāḌ khol ke dekhe magar na thā koī
badan kī sarhad-e-vīrāñ pe Thahr jaanā paḌā
fusūn-e-lams ke aage safar na thā koī
fuzūl pīchhe paḌe shahr ke ye dānish-mand
hamārī ḳhaak meñ yuuñ bhī hunar na thā koī
nishan qadam ka sar-e-rah-guzar na tha koi
udhar ka ruKH kiya hum ne jidhar na tha koi
safar sulagte hue mausamon ka tha dar-pesh
dahakti dhup thi sar par shajar na tha koi
thi chiKH si koi gunji faza mein aaKHiri bar
jumud-e-sang mein phir shor-o-shar na tha koi
ajib silsila ek dastakon ka tha shab-bhar
kiwaD khol ke dekhe magar na tha koi
badan ki sarhad-e-viran pe Thahr jaana paDa
fusun-e-lams ke aage safar na tha koi
fuzul pichhe paDe shahr ke ye danish-mand
hamari KHak mein yun bhi hunar na tha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.