nishat-o-ranj ka rishta bhi kitna mohkam hai
nishāt-o-ranj kā rishta bhī kitnā mohkam hai
har ik alam hai masarrat har ik ḳhushī ġham hai
kisī se rabt-e-mohabbat koī gunāh nahīñ
azal se 'ishq sharīk-e-sarisht-e-ādam hai
mirī nigāh meñ vo haiñ bahār ke aañsū
samajh rahā hai zamāna jinheñ ki shabnam hai
nishat-o-ranj ka rishta bhi kitna mohkam hai
har ek alam hai masarrat har ek KHushi gham hai
kisi se rabt-e-mohabbat koi gunah nahin
azal se 'ishq sharik-e-sarisht-e-adam hai
meri nigah mein wo hain bahaar ke aansu
samajh raha hai zamana jinhen ki shabnam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.