nit-nae rang mein nikalta hun
nit-na.e rang meñ nikaltā huuñ
apne ḳhvāboñ ke saath chaltā huuñ
taare apne safar meñ rahte haiñ
aur maiñ apnī raah chaltā huuñ
gumrahī raah ḳhud nikāltī hai
na.e rastoñ pe jab nikaltā huuñ
duur rahtā huuñ shāh-rāhoñ se
aur pagDanDiyoñ pe chaltā huuñ
paañv apne haiñ laġhzisheñ apnī
ḳhud hī girtā huuñ ḳhud sañbhaltā huuñ
barf rahtā huuñ sard lamhoñ meñ
dhuup ke saath bah nikaltā huuñ
maiñ hī qaus-e-quzah meñ huuñ 'betāb'
mausamoñ meñ bhī maiñ badaltā huuñ
nit-nae rang mein nikalta hun
apne KHwabon ke sath chalta hun
tare apne safar mein rahte hain
aur main apni rah chalta hun
gumrahi rah KHud nikalti hai
nae raston pe jab nikalta hun
dur rahta hun shah-rahon se
aur pagDanDiyon pe chalta hun
panw apne hain laghzishen apni
KHud hi girta hun KHud sanbhalta hun
barf rahta hun sard lamhon mein
dhup ke sath bah nikalta hun
main hi qaus-e-quzah mein hun 'betab'
mausamon mein bhi main badalta hun
- Book : Falak Aasaar (Pg. 44)
- Author : Pritpal Singh Betab
- Publication : Sarsabz Publications (H.P.) (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.