niyaz-o-naz ka paikar na arsh par Thahra
niyāz-o-nāz kā paikar na arsh par Thahrā
zamīñ kī god meñ utrā to bārvar Thahrā
gadā-e-kūcha-e-ulfat ne aabrū paa.ī
dayār-e-shauq meñ sultāñ se mo'tabar Thahrā
jise nazar ne sunāyā jise nazar ne sunā
vo giit barbat-e-hastī kā zaḳhma-var Thahrā
vafā kī raah meñ nikle to rāhdāñ kī tarah
tire jamāl kā partav bhī ham-safar Thahrā
charāġh duur se dekhūñ to raushnī le luuñ
yahī tarīq-e-gadā.ī mirā hunar Thahrā
vo ek shaḳhs ki gumnām thā ḳhudā.ī meñ
tumhāre naam ke sadqe meñ nāmvar Thahrā
vo durr-e-nāb ki siipī meñ band thā 'kausar'
kisī ne DhūñD nikālā to ḳhūb-tar Thahrā
niyaz-o-naz ka paikar na arsh par Thahra
zamin ki god mein utra to barwar Thahra
gada-e-kucha-e-ulfat ne aabru pai
dayar-e-shauq mein sultan se mo'tabar Thahra
jise nazar ne sunaya jise nazar ne suna
wo git barbat-e-hasti ka zaKHma-war Thahra
wafa ki rah mein nikle to rahdan ki tarah
tere jamal ka partaw bhi ham-safar Thahra
charagh dur se dekhun to raushni le lun
yahi tariq-e-gadai mera hunar Thahra
wo ek shaKHs ki gumnam tha KHudai mein
tumhaare nam ke sadqe mein namwar Thahra
wo durr-e-nab ki sipi mein band tha 'kausar'
kisi ne DhunD nikala to KHub-tar Thahra
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 308)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.