niyaz-o-naz ki ye shan-e-zebai nahin jati
niyāz-o-nāz kī ye shān-e-zebā.ī nahīñ jaatī
hamārī ḳhud-sarī un kī ḳhud-ārā.ī nahīñ jaatī
hazāroñ aa.ine ho kar muqābil TuuT jaate haiñ
magar husn-e-azal kī shān-e-yaktā.ī nahīñ jaatī
koī dilkash nazāra ho koī dilchasp manzar ho
tabī'at ḳhud bahal jaatī hai bahlā.ī nahīñ jaatī
mohabbat kī haqīqat kam nahīñ asrār-e-hastī se
samajh letā huuñ lekin mujh se samjhā.ī nahīñ jaatī
ba-zāhir zabt-e-paiham bhī sharīk-e-dard-e-ulfat hai
'shakīl' is par bhī apne dil kī rusvā.ī nahīñ jaatī
niyaz-o-naz ki ye shan-e-zebai nahin jati
hamari KHud-sari un ki KHud-arai nahin jati
hazaron aaine ho kar muqabil TuT jate hain
magar husn-e-azal ki shan-e-yaktai nahin jati
koi dilkash nazara ho koi dilchasp manzar ho
tabi'at KHud bahal jati hai bahlai nahin jati
mohabbat ki haqiqat kam nahin asrar-e-hasti se
samajh leta hun lekin mujh se samjhai nahin jati
ba-zahir zabt-e-paiham bhi sharik-e-dard-e-ulfat hai
'shakil' is par bhi apne dil ki ruswai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.