nizam-e-shams-o-qamar kitne dast-e-KHak mein hain
nizām-e-shams-o-qamar kitne dast-e-ḳhāk meñ haiñ
zamāne jaise tirī chashm-ḳhvāb-nāk meñ haiñ
sharāb-o-sher meñ uryāñ to ho ga.e lekin
fazā-e-zāt ke parde har ek chaak meñ haiñ
shagufta-e-lāla-o-gul meñ bhī sab kahāñ nikhre
na jaane kitne shahīdoñ ke ḳhvāb ḳhaak meñ haiñ
tirā visāl zamistāñ kī raat ho jaise
vo sard-mehrī ke pahlū tire tapāk meñ haiñ
jo sar uThā ke chaleñ tum hī ik nahīñ ho 'arīb'
kuchh aise log abhī tak to hind-o-pāk meñ haiñ
nizam-e-shams-o-qamar kitne dast-e-KHak mein hain
zamane jaise teri chashm-KHwab-nak mein hain
sharab-o-sher mein uryan to ho gae lekin
faza-e-zat ke parde har ek chaak mein hain
shagufta-e-lala-o-gul mein bhi sab kahan nikhre
na jaane kitne shahidon ke KHwab KHak mein hain
tera visal zamistan ki raat ho jaise
wo sard-mehri ke pahlu tere tapak mein hain
jo sar uTha ke chalen tum hi ek nahin ho 'arib'
kuchh aise log abhi tak to hind-o-pak mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.