nizam-e-tabiat se ghabra gaya dil
nizām-e-tabī.at se ghabrā gayā dil
tabī'at kī ab barhamī chāhtā huuñ
mirī be-qarārī se ḳhush hone vaale
na ḳhush ho ki maiñ bhī yahī chāhtā huuñ
jafā ko bhī terī jo sharminda kar de
vo mazlūm maiñ zindagī chāhtā huuñ
ġhazab hai ye ehsās vārastagī kā
ki tujh se bhī ḳhud ko barī chāhtā huuñ
sar-e-dār mansūr ko thī jo hāsil
maiñ 'hādī' vahī zindagī chāhtā huuñ
nizam-e-tabiat se ghabra gaya dil
tabi'at ki ab barhami chahta hun
meri be-qarari se KHush hone wale
na KHush ho ki main bhi yahi chahta hun
jafa ko bhi teri jo sharminda kar de
wo mazlum main zindagi chahta hun
ghazab hai ye ehsas warastagi ka
ki tujh se bhi KHud ko bari chahta hun
sar-e-dar mansur ko thi jo hasil
main 'hadi' wahi zindagi chahta hun
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 524)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.