noch liye har shaKH se patte buTa buTa luT liya
noch liye har shāḳh se patte buuTā buuTā luuT liyā
dast-e-ḳhizāñ ne chorī chorī bāġh-e-tamannā luuT liyā
us ko ḳhud hī maiñ ne apne shahr kī daulat sauñpī thī
kis se zikr karūñ ab jā kar us ne kyā kyā luuT liyā
aur to kuchh bhī paas nahīñ thā ik yādoñ kī daulat thī
zālim vaqt ne chupke chupke ye bhī asāsa luuT liyā
suukh ga.ī haiñ dhuup meñ shāḳheñ ummīdoñ armānoñ kī
mausam-e-ġham ne dil ke shajar kā pattā patā luuT liyā
apne dil ke armānoñ kā mela ek lagāyā thā
us ne apnī chhab dikhlā kar saarā mela luuT liyā
har sū bām-o-dar par chhā.e dard-o-yās ke saa.e haiñ
kis zālim ne is nagrī kā qarya qarya luuT liyā
tujh ko bhī thā 'shāhid'-e-nādāñ apne dil par naaz bahut
us ne chor ban ke āḳhir rafta rafta luuT liyā
noch liye har shaKH se patte buTa buTa luT liya
dast-e-KHizan ne chori chori bagh-e-tamanna luT liya
us ko KHud hi main ne apne shahr ki daulat saunpi thi
kis se zikr karun ab ja kar us ne kya kya luT liya
aur to kuchh bhi pas nahin tha ek yaadon ki daulat thi
zalim waqt ne chupke chupke ye bhi asasa luT liya
sukh gai hain dhup mein shaKHen ummidon armanon ki
mausam-e-gham ne dil ke shajar ka patta pata luT liya
apne dil ke armanon ka mela ek lagaya tha
us ne apni chhab dikhla kar sara mela luT liya
har su baam-o-dar par chhae dard-o-yas ke sae hain
kis zalim ne is nagri ka qarya qarya luT liya
tujh ko bhi tha 'shahid'-e-nadan apne dil par naz bahut
us ne chor ban ke aaKHir rafta rafta luT liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.