nok-e-har-Khaar par jo KHun Thahra
nok-e-har-ḳhār par jo ḳhuuñ Thahrā
mirī hastī meñ to junūñ Thahrā
tirī rāhoñ ko chun liyā dil ne
phir mire ḳhvāb kā zubūñ Thahrā
jaane kis dhun meñ chal rahī thī havā
ḳhitta-e-yās meñ sukūñ Thahrā
rañg badle ka.ī zamānoñ ne
dil kī hālat ki juuñ kā tuuñ Thahrā
maiñ hañsī bhī maiñ giḌgiḌā.ī bhī
vo na yuuñ Thahrā aur na yuuñ Thahrā
kyā kahā tū ne dil-girafta se
parcham-e-ās sar-nigūñ Thahrā
muzmahil thā koī bahut kal raat
phir tilismāt kā fusūñ Thahrā
nok-e-har-KHar par jo KHun Thahra
meri hasti mein to junun Thahra
teri rahon ko chun liya dil ne
phir mere KHwab ka zubun Thahra
jaane kis dhun mein chal rahi thi hawa
KHitta-e-yas mein sukun Thahra
rang badle kai zamanon ne
dil ki haalat ki jun ka tun Thahra
main hansi bhi main giDgiDai bhi
wo na yun Thahra aur na yun Thahra
kya kaha tu ne dil-girafta se
parcham-e-as sar-nigun Thahra
muzmahil tha koi bahut kal raat
phir tilismat ka fusun Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.