numaish-e-ruKH-e-rangin-e-yar rahne de
numā.ish-e-ruḳh-e-rangīn-e-yār rahne de
mujhe na chheḌ gul-e-nau-bahār rahne de
asīr-e-panja-e-gesū-e-yār rahne de
mire nasīb mujhe be-qarār rahne de
fareb-ḳhurda-e-rang-e-bahār rahne de
jo dāġh-dār hai dil dāġh-dār rahne de
abhī na hosh meñ lā ai mire nasīb Thahar
karam-numā.ī-e-dāmān-e-yār rahne de
abhī javān haiñ vo ai ġhurūr-e-husn batā
samand-e-nāz pe un ko savār rahne de
uThā na ab mujhe uTh uTh ke mere dard-e-jigar
paḌā huā huuñ sar-e-kū-e-yār rahne de
ḳhirām-e-nāz ke sadqe tire o mast-e-shabāb
miTe huoñ ke nishān-e-mazār rahne de
kuchh un ke dil pe asar ho chalā hai ai ġham-e-ishq
mirī mizha ko abhī ashk-bār rahne de
tirī vafā.eñ bhī to be-hisāb haiñ 'ahmar'
kisī ke zulm-o-sitam kā shumār rahne de
numaish-e-ruKH-e-rangin-e-yar rahne de
mujhe na chheD gul-e-nau-bahaar rahne de
asir-e-panja-e-gesu-e-yar rahne de
mere nasib mujhe be-qarar rahne de
fareb-KHurda-e-rang-e-bahaar rahne de
jo dagh-dar hai dil dagh-dar rahne de
abhi na hosh mein la ai mere nasib Thahar
karam-numai-e-daman-e-yar rahne de
abhi jawan hain wo ai ghurur-e-husn bata
samand-e-naz pe un ko sawar rahne de
uTha na ab mujhe uTh uTh ke mere dard-e-jigar
paDa hua hun sar-e-ku-e-yar rahne de
KHiram-e-naz ke sadqe tere o mast-e-shabab
miTe huon ke nishan-e-mazar rahne de
kuchh un ke dil pe asar ho chala hai ai gham-e-ishq
meri mizha ko abhi ashk-bar rahne de
teri wafaen bhi to be-hisab hain 'ahmar'
kisi ke zulm-o-sitam ka shumar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.