numud-e-rang-o-bu ne mar Dala
numūd-e-rañg-o-bū ne maar Daalā
usī kī aarzū ne maar Daalā
na duniyā hī kā rakkhā aur na diiñ kā
dil-e-madhosh tū ne maar Daalā
takallum kā fusūñ allāhu-akbar
kisī kī guftugū ne maar Daalā
na rūdād-e-hubāb-e-zindagī pūchh
ḳhirām-e-āb-jū ne maar Daalā
ḳhudā vaa.iz se samjhe hashr ke din
hameñ us be-vazū ne maar Daalā
zamāne ke 'amīñ' muñh kaun aatā
ḳhayāl-e-ābrū ne maar Daalā
numud-e-rang-o-bu ne mar Dala
usi ki aarzu ne mar Dala
na duniya hi ka rakkha aur na din ka
dil-e-madhosh tu ne mar Dala
takallum ka fusun allahu-akbar
kisi ki guftugu ne mar Dala
na rudad-e-hubab-e-zindagi puchh
KHiram-e-ab-ju ne mar Dala
KHuda waiz se samjhe hashr ke din
hamein us be-wazu ne mar Dala
zamane ke 'amin' munh kaun aata
KHayal-e-abru ne mar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.