nuqsan kya bataen hamara kiya bahut
nuqsān kyā batā.eñ hamārā kiyā bahut
is kārobār-e-dil ne ḳhasārā kiyā bahut
chāroñ taraf the phuul shafaq ke khile hue
jis shaam āsmāñ kā nazārā kiyā bahut
ab kyā karūñ ki shor meñ āvāz dab ga.ī
maiñ us ko shahr-e-jāñ meñ pukārā kiyā bahut
shabnam se pyaas tū ne yaqīnan bujhā.ī hai
maiñ ne bhī āñsuoñ pe guzārā kiyā bahut
nuqsan kya bataen hamara kiya bahut
is karobar-e-dil ne KHasara kiya bahut
chaaron taraf the phul shafaq ke khile hue
jis sham aasman ka nazara kiya bahut
ab kya karun ki shor mein aawaz dab gai
main us ko shahr-e-jaan mein pukara kiya bahut
shabnam se pyas tu ne yaqinan bujhai hai
main ne bhi aansuon pe guzara kiya bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.