nur-afshan hai wo zulmat mein ujalon ki tarah
nūr-afshāñ hai vo zulmat meñ ujāloñ kī tarah
ham ne puujā hai jise dil se shivāloñ kī tarah
ḳhūn-e-ummīd huā ḳhūn-e-tamannā gaahe
dil chhalaktā hī rahā mai ke piyāloñ kī tarah
zindagī tere taġhāful kī bhī had hai koī
is qadar naaz na kar zohra-jamāloñ kī tarah
jab farāmosh kareñge hameñ duniyā vaale
aur ubhar ā.eñge ham dil meñ ḳhayāloñ kī tarah
dil to kyā chiiz hai ham ruuh meñ utre hote
tum ne chāhā hī nahīñ chāhne vāloñ kī tarah
'arsh' be-bākī-o-haq-goī hai maz.hab apnā
ham na badleñge kabhī vaqt kī chāloñ kī tarah
nur-afshan hai wo zulmat mein ujalon ki tarah
hum ne puja hai jise dil se shiwalon ki tarah
KHun-e-ummid hua KHun-e-tamanna gahe
dil chhalakta hi raha mai ke piyalon ki tarah
zindagi tere taghaful ki bhi had hai koi
is qadar naz na kar zohra-jamalon ki tarah
jab faramosh karenge hamein duniya wale
aur ubhar aaenge hum dil mein KHayalon ki tarah
dil to kya chiz hai hum ruh mein utre hote
tum ne chaha hi nahin chahne walon ki tarah
'arsh' be-baki-o-haq-goi hai mazhab apna
hum na badlenge kabhi waqt ki chaalon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.