nur nagar mein jab duniya kho jati hai
nuur nagar meñ jab duniyā kho jaatī hai
dhundlī dhundlī bīnā.ī ho jaatī hai
niklegī kuchh baat yaqīnan niklegī
socho shabnam gul par kyoñ ro jaatī hai
hone vaalā barsoñ kaam nahīñ hotā
pal do pal meñ anhonī ho jaatī hai
bebas āñkheñ rātoñ jaagā kartī haiñ
jaane merī niiñd kahāñ so jaatī hai
nur nagar mein jab duniya kho jati hai
dhundli dhundli binai ho jati hai
niklegi kuchh baat yaqinan niklegi
socho shabnam gul par kyon ro jati hai
hone wala barson kaam nahin hota
pal do pal mein anhoni ho jati hai
bebas aankhen raaton jaga karti hain
jaane meri nind kahan so jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.