nur tera hi ja-ba-ja paya
nuur terā hī jā-ba-jā paayā
kahīñ chhup kar kahīñ khulā paayā
zaḳhm-e-dil mil gayā zahe qismat
saarī mehnat kā ye sila paayā
saada dil sādgī tabī.at meñ
dard siine kā man-chalā paayā
ādamiyyat huī hai duur ab to
sab kā īmāñ milā-julā paayā
jaan kyā chiiz hai karūñ qurbāñ
dil meñ terā hī naqsh-e-pā paayā
nur tera hi ja-ba-ja paya
kahin chhup kar kahin khula paya
zaKHm-e-dil mil gaya zahe qismat
sari mehnat ka ye sila paya
sada dil sadgi tabiat mein
dard sine ka man-chala paya
aadamiyyat hui hai dur ab to
sab ka iman mila-jula paya
jaan kya chiz hai karun qurban
dil mein tera hi naqsh-e-pa paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.