oDh leta hai koi tirgi shab se pahle
oḌh letā hai koī tīrgī shab se pahle
rūnumā hote haiñ asarāt sabab se pahle
sab se ūñchā thā zamāne meñ taḳhayyul merā
hādse mujh pe girā karte the sab se pahle
ek duuje se numū paatī haiñ chīzeñ aksar
pyaas kā naam kahāñ hotā thā lab se pahle
sher ne husn kī tarvīj kā sāmān kiyā
rā.egāñ jaatī thī har aañkh adab se pahle
sub.h kā bhūlā huā aa to gayā hai vāpas
mas.ala ye hai ki aayā nahīñ shab se pahle
vo jo din-rāt kī tartīb lagātā hai abhī
jaane kyā kartā thā is kār-e-ajab se pahle
nāz-bardārī tirī karte bahut karte magar
zindagī ham ko milī hai tū talab se pahle
aaj kuchh aur hī maqsad hai charāġhoñ kā 'aqīl'
raushnī itnī nahīñ hotī thī ab se pahle
oDh leta hai koi tirgi shab se pahle
runuma hote hain asaraat sabab se pahle
sab se uncha tha zamane mein taKHayyul mera
hadse mujh pe gira karte the sab se pahle
ek duje se numu pati hain chizen aksar
pyas ka nam kahan hota tha lab se pahle
sher ne husn ki tarwij ka saman kiya
raegan jati thi har aankh adab se pahle
subh ka bhula hua aa to gaya hai wapas
masala ye hai ki aaya nahin shab se pahle
wo jo din-raat ki tartib lagata hai abhi
jaane kya karta tha is kar-e-ajab se pahle
naz-bardari teri karte bahut karte magar
zindagi hum ko mili hai tu talab se pahle
aaj kuchh aur hi maqsad hai charaghon ka 'aqil'
raushni itni nahin hoti thi ab se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.